Aaea islamic maheno k bare mai jane step by step
Suru allah k naam se jo nehayat reham o karem jaat hai
Islamic maheno mai see pehla mahena jo nehayat hi barkat wala aur jisse allah ka mahena v kaha jata hai jo har sahe aur bhalein kammu k liye behtar mahena samjha jata hai oss mahene ka naam MAHARAM hai. Iss mahene kuch islami tarikha
1-allah taallah ne kalam ko paida qiya
Hazarat ubadah bin sabit (raz) bayan karte hai (R.S.A)ne irshad farmaya- iss dunya k tamam cheej mai sabe see pehle allah taallah ne kalam ko paida farmaya aur usse likhne ko hukum farmaya tu uss ne arrz kiya a mere raab mai kya likhun?allah taallah ne usse Qayamat taak q puri kainat ki taqdirr likhne ka hukum diya[abbu daud:4700]
2-allah ne zaminno assman ko paida kiay
Allah rabul izzatt ne zamin o assman ko isse mahene mai paida kiaya khud allah taallah ka irshad hai “hamne hi zamin o assman aur unke darmiyan ki tamam cheejo ko chee din mai paida kiya aur hame unnki paidaish mai thakan ka koi ihsaas na huwa
3-allah ne faristey ko paida kiya
Faristey allah ki norrani makluq hai.jo norr see paida huwe hai.woh hamari nazro see ojhal hai,allah ki nafarmani nahe karte aur har waqt apne apne kaam mai lage rehte hai.une mai charr mukarr faristey hai(1-Hazrat zibbrael allaihissalam,2-Hazart issrafil allaihissalam,3-Hazart mikaill allaihissalam,4-Hazrat izzraill alaihissalam
4-allah ne zinnat ko paida kiay
Quran aur hadees mai zinnat ka tajkira paya jata hai kassrat see aur insano ka v aur insano see pehle iss dunya mai zinnat raha karte thee jinko allah ne aag see paida kiya aur woh ek lambe arrse taak zamin par rahe lekin fasaad machane laage tu allah ne unhe faristey k jaria samondarro aur door daraz pahadon k taraf bhaga diya aur ibliss v tu zinnatu mai see tha lekin kassrat e ibadat ki wajah see farisstu ka sardar bana diya gaya tha lekin usse ne v takkbur kiya tu allah ne dhut kardiyauar ussku dunya mai bhej diya
Very impressive 👍👍👍👍👍
ReplyDelete